Monday, August 23, 2010

Tum chali toh gayi Naani

Tum chali toh gayi Naani
Magar ye konsa tareeka tha

Main aaya tha jab milne tumse
Kooch roj pahle
Muje thoda isara toh kiya hota
Ya ek baar zara aur jor se
Gale lagaya hota

Kehte hain log
Ki tumhari umar ho chali thi
Jeendagi tumne apni ji li hi
Aur acchi baat ye hain ki
Tum sote sote beena kisi dard ke
Chal basi thi

Ho sakta hain ye sab sach ho
Par tumhara gile aanchal se
Garmi mein mera mooh poch dena
Yaad aata hain

Mere kahne pe
Roti pe thoda aur makhan
Joothe gusse ke saath rakh dena
Yaad aata hain

Waqt gujar chukka hain
Tumhe gujre hue
Logo ki baato mein ab tum
Kabhi kabhi hi aati ho
Aur unn logo se mera taar
Jo tumhari wajah se juda tha
Ab tootne laga hain

Accha hota tum gar jo
muje pyaar kam deti
Par woh karna tumhare
Bas mein na tha
Ya chali jaati
Meri samaj badne se pahle
Kam se kam tab
Taaro mein Tumhe
dundha karta

dil ki baat

Meri kitab mein rakha gulab
Jo tune labo se choo kar apne
Khud rakha tha

Kal gir gaya farsh par
Panne ulatte hue

Sukh gaya tha woh
Magar murjaya nahi tha

2 panno ko hum dono ke seene samaj
Pyaar ki gahrai mein duba pada tha

Nawaaqib har uss haalat se
Jo gujre hain beete waqt mein
Hamare beech

Bekhabar unn aasuon se
Jo gili kar pahle pane ki syahi
Sukh chuke the

Isse pahle ki
Mere chere pe aaye nam bhaavo ko
Woh pechchan le
Aur sookh ke, har pati apni
Farsh pe gira de

Main baha aaya usse
Behte paani mein
Unn sunhari yaado ke saath
Jo hamrai subah ka ugta suraj
Bante bante andhre mein gum ho gayi