Monday, August 23, 2010

Tum chali toh gayi Naani

Tum chali toh gayi Naani
Magar ye konsa tareeka tha

Main aaya tha jab milne tumse
Kooch roj pahle
Muje thoda isara toh kiya hota
Ya ek baar zara aur jor se
Gale lagaya hota

Kehte hain log
Ki tumhari umar ho chali thi
Jeendagi tumne apni ji li hi
Aur acchi baat ye hain ki
Tum sote sote beena kisi dard ke
Chal basi thi

Ho sakta hain ye sab sach ho
Par tumhara gile aanchal se
Garmi mein mera mooh poch dena
Yaad aata hain

Mere kahne pe
Roti pe thoda aur makhan
Joothe gusse ke saath rakh dena
Yaad aata hain

Waqt gujar chukka hain
Tumhe gujre hue
Logo ki baato mein ab tum
Kabhi kabhi hi aati ho
Aur unn logo se mera taar
Jo tumhari wajah se juda tha
Ab tootne laga hain

Accha hota tum gar jo
muje pyaar kam deti
Par woh karna tumhare
Bas mein na tha
Ya chali jaati
Meri samaj badne se pahle
Kam se kam tab
Taaro mein Tumhe
dundha karta

1 comment:

  1. Very touching bhai! The use of simple words and easy rhythm makes it all the more realistic and close to heart.

    ReplyDelete